| Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan | ||
|
|
Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan
Tu Azeez Dill-o-nazar Se Hai, Tu Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai Mare Jism-o-jaan Ka Ye Faasla, Kaheen Waqt Aur Barhaa Na De ********** Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon, Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon, Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar, Meri Chahatoon Ka Silaa Na De , ********** Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi, Jo Bujha Sake To Bujha isey, Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De, ********** Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein, Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day, Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar , Yoon Judaiyoon Ki Sazaa Na De.... ********** |




