| Shayari Contd... | ||
|
|
Shayari Contd...
tadap kar dekho kisi ki chahat mein to pata chalega intezar kya hota hai, yun hi mil jaye agar koi bina tadpe, to kaise pata chalega pyaar kya hota hai ******** Ehsaas bahut hoga jab chod ke jayange, Royenge bahut magar ansu nahi aayenge; Jab sath na de koi to awaz hume dena, kabra mei honge to bhi laut kar aayenge ******** Waqt kahta hai phir na aaonga, teri aankho ko ab na rulaoonga, jeena hai to is pal ko jee le, shayad kal tak main na ruk paoonga ******** Nazar unnhe dekhna chahe to aankho ka kya kasur. har wakt khushbu unki aaye to sanso ka kya kasur. waise to sapne puch kar nahi aate . par sapne unke aaye to sapno ka kya kasur. ******** Yaad Karte Hain Yaaron Ko, Yaadon Se Dil Bhar Aata Hai... Kabhi Saath Jiya Karte the sab, Aaj Milne Ko Dil Taras Jaata Hai... ******** |










