| sweet shayris | ||
|
|
sweet shayris
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage, Kitne door hai sapne haqiqat ke aage, Koi ruki hui Dhadkan se puche, Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage. *********** Guzri hui Zindagi ko kabhi yaad naa kar, Taqdir mein jo likha hai uski fariyaad naa kar, Jo hona hai woh ho kar rahega, Tu fikr mein apni hasi baraad naa kar. *********** Itna kuch khoya hume paana naa aaya, Pyaar kiya to jatana naa aaya, Dil mein bas gaye woh pehli hi nazar mein, Kasur humara tha jo hume unke Dil mein samana naa aaya. *********** Lakhon Zakhm khaye hum ne, Afsoos unhe hum par aitbaar nahi hai, Kya guzarti hai Dil pe, Jab tum kehti ho hume tum se Pyaar nahi hai. *********** Zindagi mein hum ne kabhi kuch chaha hi nahi, Jise chaha usse kabhi paaya hi nahi, Jise paaya usse yuh kho diya, Jaise Zindagi mein kabhi koi aaya hi nahi. *********** Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi. *********** Kissi ki yaadon ne pagal bana rakha hai, Kahin mar naa jaaun kafan sila rakha hai, Jalaane se pehle Dil nikal lena, Kahin woh naa jal jaaye jo Dil mein chupa rakha hai. *********** Aankhon mein aansu aa jaate hai, Phir bhi labon par hasi rakhni padti hai, Yeh Mohabbat bhi kya cheez hai yaaron, Jiss se karo ussi se chupani padti hai. *********** |




